Saudi Aramco kese bni World ki Sabse bdi Company | Saudi Aramco Case Study in Hinglish

Recent Blogs

Saudi Aramco kese bni World ki Sabse bdi Company | Saudi Aramco Case Study in Hinglish

Aaj hum duniya ki sabse Adhik munaapha kamaane wali Company Saudi Aramco Ke Baare me baat karenge. Ye Saudi Arab ki Company hai , Jo Duniya ki Sabse Badi OIL exporter Company hai .

Company ke Paas Reserve me  270 Billion barrel hai  Aur Is Company ka Valuation Lagbhag 5 trillion ke Barabar hai. 2019 ke Pehle Company ne  46.9 Billion Dollar ka Profit  Kiya hai. Saudi Aramco ne India me 100 Billion Dollar ka Investment  Kiya hai. Aaj hum Saudi Aramco ki Case Study ko Samjhenge Aur Janenge Ki Kaise Saudi Aramco Duniya ki Sabse Adhik Profit Kamane Wali Company ban gayi.

To chalie Aaj hum Duniya ki  sabse badi Company Saudi Aramco ke Case Study ko Samajhte hai. 

Aaj Hum Jaanenge

1. Saudi Aramco kya karti hai?

Saudi Aramco 1933 se Chali Aa rahi Oil Company hai. Jise America ki  Standard Oil Co. of California Ne Start  kiya tha . Jo ki America ki Oil Company hai. Abhi ke samay Saudi Aramco Legally Saudi Arabia ki Oil Company hai Aur ye Saudi Arabia ke Dhahran me loacted hai.

Saudi Aramco Sabse adhik Profit Kamaane Wali Duniya ki Badi Company hai. Ye Duniya ki Dusri Sabse Badi OIL Company hai.Jiske reserve me 270 Billion Barrel hai. 

Company ne 1939 me Pheli bar Commercial OIL Produce karna Shuru kiya. Lekin 1988 me Legally  Taur par Found kiya gaya. Ye Duniya ki Sabse Badi Hydrocarbon network system  Chalane wali Company hai.

Saudi Aramco Petrol Pump

Saudi Aramco ke Dwara Chalaya Jaane wala Refinery.

  • Jazan Refinery and terminal projects

Ye Refinery Saudi Arabia ke  Jazan mein  hai. Ye  Refinery  400000 BBl/Day Oil Produce karti hai.

  • Jeddah Refinery

Yah Refinery Saudi Arabia ke Jeddah men hai, Ye  Refinery 78,000 BBl/Day OIL produce karti hai.

  • Ras Tanura Refinery 

Yah Refinery Saudi Arabia ke  Ras Tanura men hai. Jo 5,50,000 BBl/Day Oil produce karti hai.

  • Riyadh Refinery

Riyadh Refinery Saudi Arabia ke Riyadh mein hai . Jo  126,000 BBl/Day Oil produce karti hai.

  • Yanbu Refinery 

Ye Refinery Saudi Arabia ke Yanbu mein hai, Jo 245000BBl/Day Oil  produce karti hai .

Saudi Aramco ke Dwara Chalaya Jaane wala Refining Ventures.

  • Saudi Aramco Mobil  Refining Venture.

Ye Refining Venture ke Yanbu mein hai  Jo 400000 BBl/Day Mobile Produce karti hai.

  • The Saudi Aramco Shell Refinery Co. (SASREF)

Ye Refining Venture Saudi Arabia ke Jubail mein hai, Jo ki 3,00,000 BBl/Day Oil Produce karti Hai.

  • Petro Rabigh

Ye Refining Venture Saudi Arabia ke Rabig mein hai,Jo  400000 BBl/Day Oil Produce karti hai.

  • Saudi Aramco Base Oil Co. (Luberef)

Ye Refining Venture Saudi Arabia ke  Jeddah mein hai.

  • Saudi Aramco Total Refining and Petrochemical Co. (SATORP)

Ye Refining Venture Saudi Arabia ke Jubail mein hai. Jo 4,00,000 BBl/Day Oil Produce karti hai.

  • Yanbu Aramco Sinopec Refinery (YASREF)

Ye Refining Venture Saudi Arabia ke Yanbu mein hai.Jo 4,00,00 BBl/Day Oil Produce karti hai.

  • Fujian Refining and Petrochemical Co. (FRPC).

Ye Refining Venture China me hai. 

  • Sinopec SenMei (Fujian) Petroleum Co. Ltd. (SSPC)

Ye Refining Venture bhi  China me hai. 

  • Motiva Enterprises LLC, United States.

Ye Refining Venture United States me hai Jo 635000 BBl/Day Oil Produce karti hai.

  • S-Oil, Republic of Korea 

Ye Refining Venture  Korea me hai, Jo 669000 BBl/Day Oil Produce karti hai.

  • Saudi Refining Inc., United States

Ye Refining Venture  United States me hai .

  • Reliance Industries, India

Ye Refining Venture INDIA me hai.

2. Saudi Aramco Shuru Kaise hui ?

Saudi Aramco ko Saudi Arebia ki Government aur California ke Standered OIL Company ne Ek Agreement ke sath Shuru kiya tha. Company ne 1939  se Commercial OIL Produce Karna Shuru kiya.

1939 ke baad se Company  Apne Distribution Channel ko Lagaataar Bada kar rahi hai. 1949 men Company  Daily 5,00,000 barrel Oil produce Karti thi. Company ne Apna Pipeline bhi  Develop kiya.

1950 mein Company France aur Arab ke beech 1212  Kilometer Ki pipeline banayi.Ye Pipeline  Duniya ki Sabse Badi Pipeline hai.

Is Pipeline ne Company ko Europe me OIL Export  Karne me kaphi Madad ki.Jisse Export ki Keemat bhi Kaphi Km ho gayi. Company ne Teeji se apne Oil Produce Karne ki Capacity ko Badhaya Aur 1962 mein  5 trillion Barrel ke kachche tel ka utpaadan kiya. Jo ek mil ka patthar saabit hua. 1973 mein Saudi Arabia Goverment ne Company me 25% Hissedari khareedi aur bad mein 1973 me Goverment Apna Hissedari Badhaker 60% kar di. Lekin 1980 mein, Saudi Arebia ki Goverment ne Company ke Banki Stake bhi Khareed liya.

About Saudi Armco
Saudi Aramco Refinery 

Saudi Aramco Lagaatar Aage Badh Rahi hai. Aramco ne International Company me bhi Invest karna Bhi Shuru kar Diya hai. 1991 mein,Company ne South Koria  ke OIL Company me bhi 35% Ka stake Khareeda hai.

3. Saudi Aramco ka Business Model Kya hai ?

Saudi Aramco ka Business Model Kaphi Simple hai. Saudi Aramco OIL ki Company hai. Saudi Aramco Oil Mining par Kaphi Kharch karti hai. Saudi Aramco ke pass tel Khojne ki Badi Team hai.

Aramco ke Paas Research Center bhi hai. Saudi Aramco ka Business Model Kaphi Simple hai. Ye Tel Khojti hai,Phir uski Refining Karti hai Aur Use Market Ya kisi Dusre Country ko Supply karti hai. Company ke Paas Refining aur Chemical Business Bhi hai.

Abhi ke Samay Company ki Oil Produce Karne Ki Capacity 5.4 Million  Barrel per day hai. Saudi Aramco ke Paas  Bahut sare  Oil Refining Ventures hai. Unme se Kuch Saudi Arebia me hai Aur Kuch Europe ,ASIA aur United States me hai. Company Chemical ko bhi Produce Karti hai.Company ke Paas Shipping Business bhi hai. Jisse Company OIL ,Chemical Aur Natural Gas Bahut sare Country ko Supply Karti hai. 

4. Saudi Aramco Paise Kaise Kamaati hai?

Saudi Aramco Duniya me Sabse Adhik Profit Making Company hai. Company APPLE Aur GOOGLE Jaise Company se bhi Adhik Profit kama Rahi hai. 2018 me Company ne 111.

1 Billion Dollar ka Profit kiya . Jabki APPLE Company  ne 2018 me Sirf 59.5 Billion Dollar ka Profit ki thi. Jisse Pataa Chalta Hai ki Company kitni Profit Kamaa rahi hai.. 2018 se Pehle Company ka koi  financial data Available nahi tha. Ye Company Dwara Jari kiya gaya Pehla financial data  tha. Kyoki Company Pehli Bar IPO launch kar Rahi thi.

5. Saudi Aramco ki India me Investment

Saudi Aramco ne Bahut Sari Investment ki hai. Saudi Aramco ne India me bhi Investment kiya hai. INDIA me Company ka Pehla Investment 44 Billion Dollar ka hia. Jisme Company ki 50% ki Hissedari hai. Baki Hissedari INDIAN OIL, BPCL Aur  HPCL ke Paas hai. Company ne RELIANCE Industries ke sath bhi Badi Deal ki hai. Jisme Saudi Aramco ne 75 Billion Dollar 20% Stake ke Sath Invest kiya hai.

Jo ki India ki Lia Ek Badi Deal thi. Saudi Aramco Reliance Industries ko Jamnagar ki Refinery men 5,00,000  crude oil barrel  Daily Supply karti hai.

6. Saudi Aramco ki Management Team.

Saudi Aramco ko  Saudi Arebia ki Government Chala rahi hai. Amin aur  Yasir  ,Jo Puri Company ko Manage karte hai.

CEOAmin H. Nasser
ChairmanHE Yasir Othman Al-Rumayyan

7. Saudi Aramco Company ki FACTS.

CategoriesEnergy, Oil and Gas, Renewable Energy
HeadquartersRegions  Gulf Cooperation Council (GCC)
Founded Date1930
Operating StatusActive
Number of Employees 10001+
Legal NameSaudi Arabian Oil Co.
IPO StatusPublic
Company TypeFor Profit
Websitewww.saudiaramco.com
Facebook View on Facebook
LinkedInView on LinkedIn
TwitterView on Twitter
Contact Email[email protected]

9. Saudi Aramco ne Kaun – Kaun se Company me Invest kiya.

Organisation Name Funding Amount Funding Series Date
Hyundai Oil Bank $1.2 Billion  Secondary Market- Hyundai Oil bank Dec 17, 2019
NexWafe Not Disclosed Corporate Round NexWafe June 19, 2018
Golden Scent Not Disclosed Series A Golden ScentDec 21, 2017
Desktop Metal$115 Million Series D Desktop MetalJuly 17, 2017
Oxymem Not Disclosed Funding Round OxymemJune 20, 2017
Rive Technology $17.1 Million Series E Rive TechnologyNo 12, 2015

10. Duniya ki Sabse Badi Company Saudi Aramco 

Saudi Aramco ne 2019 me Apna Pehla IPO launch kiya. Company ne Pehle IPO se  Lagbhag 2 Trillion Dollar Jutaya. Jo ki Duniya ki Kisi bhi Company dwara Jutaya gaya Sabse Adhik Rashi hai. Saudi Aramco ne Chinese E-commerce Company Alibaba ke Record ko bhi Tod diya. Company ne 11 dec se 35.20 SAR  ke Sath Apna Business Start kiya . Company ke Share ka Highest Price 38.70 SAR hai. Aur Share ka Sabse Lowest Price 34.25 SAR hai.

Website of Saudi Aramco

11. Saudi Aramco ne Kaun-Kaun si Company ko Khareeda ?

I.Saudi Aramco ne 27 March 2019 ko 69.1 Billion Dollar me SABIC A Diversified Manufacturing Company ko khareeda.

II.ARLANXEO ek synthetic rubber company ke rup men kaam kar rahi  thi,Jisse Saudi Aramco ne 8 August , 2018 ko $ 1.6 Billion me Khareeda..

12. Saudi Aramco Company ka Future Plan Kya  hai.

Saudi Aramco Apne Organisation ko Lagaatar Bada  kar rahi hai.Iska Future Plan Is tarah ka hai.

  • 2030 Tak Company  Apni Refining Capacity  Ko Double Karna Chahti hai.
  • Ye Future me apne Business ko Aur Expand karna Chahti hai.
  • Company apne Research aur Development par Kaphi Focus kar rahi hai . Aur ye Nayi Technology ko develop kar rahi hai.
  • Company Naye-Naye Business me Invest kar Rahi hai.
  • Company Naye-Naye Organisation ko Khareed rahi hai.

13. Saudi Aramco ki Marketing Strategy

Saudi Aramco world level ki top company hai. Iske marketing plans yeh hai ki duniya me product ka knowledge sabhi tak failana aur brand awareness ko badhana. Bhavishya ke competition ko dhyan me rkhte hue ye apne promotional campaigns par kaam karte hai.

Marketing Campaigns ke andar Saudi Aramco Promotional Media, Digital Marketing, News Paper, TV, Outdoor Advertising tatha Collateral material jaise Brochures, mailing pieces, catalogs aadi ka sahara leti hai.

Apne Business ko Internet ke dwara grow karwane ke liye aap hamari Digital Markering Services ka istemaal kar skte hai.

14. Saudi Aramco 2020 ka financial result

Saudi Aramko me 12 may, 2020 ko saal 2020 ke first quarter ka financial result ghoshit kiya hai. Jo is prakar hai:

  • First-quarter net income: $16.7 billion
  • First-quarter free cash flow*: $15.0 billion
  • The gearing ratio of -4.9% reflects the further strengthening of the balance sheet
  • Dividends of $13.4 billion paid in the first quarter, in respect of Q4 2019
  • Dividends of $18.75 billion to be paid in the second quarter, for Q1 2020
  • Low upstream costs and sustaining capital provide significant flexibility

15. FAQ

Saudi Aramco ke maalik kaun hai?

Saudi Aramco ki owner Saudi Arabia ki Government hai

2. Saudi Aramco ki net worth kitni hai?

Saudi Aramco ki net worth 2 trillion dollars se jyada hai.

3. Saudi Aramco kya karti hai?

Saudi Aramco Duniya ki Dusri Sabse Badi OIL Company hai. Jiske reserve me 270 Billion Barrel hai

4.  Saudi Aramco ke shares kaha se kharide?

Saudi Aramco ke share kharidne ke liye Tadawul website par Saudi Aramco ke profile page ko dekhe.

5. Saudi Aramco ke CEO kaun hai?

Amin H. Nasser Saudi Aramco ke CEO hai.

Tags :
Saudi Aramco,Saudi Aramco Kitna Profit Kamaati hai,Saudi Aramco kya karti hai,Saudi Armco Case Study
Share This :

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *